Monday, November 21, 2011

Golden Quotes of Hazrat Ali...

Insaan ka apnay Dushman se inteqaam ka sub say acha tariqa ye he k
wo apni khoobiyo’n me izafa karey 'Hazrat Ali (A.S)
___________________________________________
Wo gunah jis ka tumhein ranj ho, ALLAH k nazdeeq us nayki se behtar
hai jis se tum main ghuroor paida ho jaye". ( Hazrat ALI A.S )
____________________________________________
Kisi ne Hazrat ALI A.S se poocha: "Dost aur bhai main kya farq hai?"
Aap ne farmaya: "Bhai sona hai aur dost heera hai."
Us aadmi ne kaha: "Aap ne bhai ko kam qeemat aur dost ko qeemti
cheez se kyun tashbeeh di?"
To aap ne farmaya: "Sone main agar darar aa jaye to us ko pighla kar
bilkul pehlay jaisa banaya ja sakta hai. Jab ke heeray main aik darar
aa jai to wo kabhi bhi pehlay jaisa nahi ban sakta.'
_______________________________________________
Agar kisi ka zarf azmana ho to usko ziada izzat do
Wo Aa’la zarf huwa to aap ko aur izzat day ga or kam zarf huwa to
khud ko Aa’la zarf sumjhay ga ( Hazrat ALI A.S )
________________________________________________
Hazrat ALI A.S Ka Farman Hay:-
"Bura Dost Aag Ki Manind Hay"
"Agar Jalta Hoga To Aap ko Jala Dega"
"Aur Agar Bujha Hoga To Aap K Hath Kaaley Kar Dega"
__________________________________________________
Logon Ki Zaroraton Ka Tum Se Wabasta Hona Tum
Per ALLAH Ki inaayat Hai. (Imam Hussain A.S)
__________________________________________________
Hazrat ALI A.S ka farman hay:
Apne Dushman Ko 1000 (Hazaar) Dafa Moqa Do K Wo Tumhara Dost
Ban Jaaye Per Apne Dost Ko 1 (Aik) Bhi Moqa Na Do K Wo Tumhara
Dushman Banay
sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho
(Hazrat ALI A.S)
__________________________________________________
Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho. (HAZRAT ALI (A.S)
__________________________________________________
Jab meri DUA qabool ho tu mein khush hota hu’n kyun k is mein meri
marzi hai aur Jub qabool na ho tu mein aur khush hota hu’n kyun k ye
ALLAH ki marzi hai ( Hazrat ALI A.S )
__________________________________________________
IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT aisi cheezai’n hai’n jin k milnay say
log badaltay nahi’n BAYNAQAB hotay hain( Hazrat ALI A.S )
__________________________________________________
Agar tum kisi ko chota dekh rahey ho, to tum usay door se dekh rahey
ho, Ya phir ghuroor se dekh rahey ho ( Hazrat ALI A.S )
__________________________________________________
ALLAH k nazdeek sab say ziyada guneh gaar cheez jhoot bolnay wali
zuban hay. (Hazrat Ali A.S)
__________________________________________________
GULAAB KA PHOOL BANO! KYUN K YEH PHOOL US K HATH MEI BHI
KHUSHBU CHOR DETA HAI JO ISAY MASAL KAR PHAINK DETA
HAI.(HAZRAT ALI A.S)
__________________________________________________
Mein Jannat K Shawq mein ibaadat nahi karta,
Kyun K Ye ibaadat nahi Tijaarat hay
Mein Dozakh K khawf Say ibaadat nahi karta,
kyun k ye ibaadat nahi, Ghulami Hai...
Mein ibaadat sirf is liye karta hun...
Kyun k Mera RAB ibaadat K layeq hai....... ( Hazrat ALI A.S )
__________________________________________________
Aik Shakhs ne Hazrat ALI A.S Sey Poocha,
Q: Qareeb Kya Hai?
A: Qayamat
Apni zuban ki tezi us per mat azmaa’o jis ne tumhe bolna sikhaaya
( Hazrat ALI A.S )

No comments:

Post a Comment